Tuesday 22 January 2013

arz-e-niyaz-e-ishq k qabil nahi raha

arz-e-niyaz-e-ishq k qabil nahi raha,
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha,

jata hun dag-e-hasrat-e-hasti liye hue,
hun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha,

marne ki ai dil aur hi tadbir kar k main,
shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahi raha,

ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai,
yan imtiaz-e-nakis-o-qamil nahi rahaa,

wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn,
gair az nigah ab koi hail nahi raha,

go main raha rahin-e-sitam haye rozgar,
lekin tere khayal se gafil nahi raha,

dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit k wan,
hasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha,

bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Asad',
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha..





Mirza Ghalib

bas k dushwar hai har kam ka asan hona,
admi ko bhi mayassar nahi insan hona,

giriya chahe hai kharabi mere kashane ki,
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona,

wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko,
ap jana udhar aur ap hi hairan hona,

jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai,
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona,

ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch,
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona,

le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat,
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona,

ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana,
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona,

ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba,
haye us zodpasheman ka pasheman hona,

haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib',
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona..

Mirza Ghalib

0 comments:

 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Lady Gaga, Salman Khanmp3 songs download free