Na muradi ka ye aalam bhi to ai dil na rahey
Ab to ham tarq e ta'alluq k bhi qabil na rahey
Aaj usney sharaf e ham safari bakhsha tha
Istarah se k mujhe khahish e manzil na rahey
Samney tu ho to so khahishe'n jaag uthh ti hain
Kash ab k meri aankho'n mai mera dil na rahey
AUR HONGEY K JO AAINA SIFAT JEETEY HAIN
MAIN TO MAR JAO'ON AGAR KOI MUQABIL NA RAHEY
Jo bhi ho saheb e mehfil yahi kehta hai "Faraz"
Wo jo uthh jaye jo mehfil se to mehfil na rahey

0 comments:
Post a Comment